नई माताओं के लिए स्तनपान कराने ki tips – Baby ko dudh kaise pilye?

Agar aap ne abhi abhi ek bache ko janam jiya hai aur aap unhe breastfeed karvane ke bare soch rahi hai to aap bilkul sahi rah par ho. Bache ke liye maa ka dudh hi sarvotam hai. Aapko is article me breastfeed karvane ki tips aur baby ko dudh kaise pilye? Ke bare me sari jankari mil jayegi.

Ajkal ke fashion ke jamane me bahut sari maa ye hai wo bache ko breastfeed karvane se bachati hai kyuki wo sochti hai ki agar bacha breastfeed karega to unke breast ka shape hai wo bigad jayega. Par aisa karne se aapke bache ko pure nutrition nahi milege jo ki unko chahiye hote hai isi liye sab kuch chod kar bache ko breastfeed jarur karvana chahiye.

 

 

Bahut sari mahila o ko shuruaat me breastfeed karane me taklif hoti hai par ye paheli bar hota hai isi liye aisa lagta hai dhire dhire sab thik ho jata hai to bilkul ghabraye mat.

 

Kya bache ke liye maa ka dudh sarvottam hai?

Ji ha bilkul, is me koi sandeh nahi hai kyuki ek bache ke liye unki maa ka dudh hi best hai baki sab bad me aata hai. Shuruaati dino me bache ke liye maa ka dudh hi unka mukhya ahaar hota hai.

Maa ke dudh me 400 se jyada poshak tatvo hote hai jo bache ko rogo ke ladne ki shakti deta hai aur wo formula milk me nahi paye jate.jin bacho ko unke janm se hi maa ka dudh pilaya jata hai unke pahele 1 saal me bimar hone ki sambhavna kam hoti hai aur wo bahut sare rogo se bhi bachata hai. Jaise ki,

  • Gastroenteritis
  • Pneumonia
  • Kaan me infection

 

Bache ko stanpan (स्तनपान) karane ka sahi samay kya hai?

Bache ko maa ka dudh kab se pilaye ye sabse pahele mata ki konsi delivery hui hai unke upar depend karta hai. Ki unki normal delivery hui hai ki cesarean delivery yaha hum dono tariko me janege.

Normal delivery

Agar aapki normal delivery hui hai to aap turant hi bache ko breastfeed karva sakte ho.

Cesarean delivery

agar aapki cesarean delivery hui hai to aap jab thode hosh me aa jao aur bache ko sahi se godi me lene me comfort ho jao matlab ke 1-2 din me aap bache ko breastfeed karva sakte ho.

 

Baby (Bache) ko dudh kaise pilaye?

1.   1. Aap jitni jaldi ho sake bache ko dudh pilana shuru kar dijiye.

2   2. Agar aap bache ko akele nahi le sakte to dusro ki madad le par bache ko sahi position me stanpan (स्तनपान) karaye.

3   3. Bache ko aapni godi me lekar स्तनपान karvaye aur aapko khud ki pith ke piche ek toliya rakhna jis se aapki rid ki haddi ko support rahe aur aapko bad me koi pareshani na rahe.

4   4. Bache ko jitna ho sake utna beth ke breastfeed karvane ki koshish kare.

5   5. Bar bar letkar स्तनपान na karaye kyuki us se bache ko kan me Infection hone ki sambhavna hoti hai.

6   6. Bacha din me aur rat me jitni bar dudh pine ki mang karta hai usko utni bar aap स्तनपान karaye kyuki bache ka pet ekdam chota hota to jaldi bhar jata hai aur jaldi khali bhi ho jata hai. Aur yad rakhe ki bache ka pura nutrition hai wo aapke dudh se hi unko milta hai to breast feed karvane me alas na kare.

7.   7. Agar aapka bacha स्तनपान (breastfeed) karta hai to unko bottle se dudh pine ki aadat bilkul na dale kyuki bad me jake ye aadat chudvane me aapko bahut time lagta hai.

8    8. Aapke bache ko jitna chahe utna breastfeed karne dijiye bar bar time mat dekhiye ki itna time ho gaya ab to unka pet bhar gaya hoga. Aisa bilkul bhi nahi hai har bacha alag hota hai aap kisi dusre bache ki tulna kabhi bhi mat karna bacha jab unka pet bhar jayega tab apne aap hi dudh pina chod dega.

 

नई माताओं के लिए स्तनपान कराने ki tips

Aap paheli bar maa bani hai to aapke liye ye tips bahut hi kam ki hai. Bas aapko kuch choti choti bato ka dhayan rakhna hai jis se aapki shuruaati motherhood journey hai wo asan ban jayegi.

1.  1. Bacha bhukha hai ya nahi ye pahechane:

Agar bacha apna hath muh me dalne lage.

Agar bacha aaspas ka kuch saman chatne lage.

Agar bacha aapse chipkne lage.

Agar bacha jor jor se roye to ho sakta hai ko bache ko bhukh lagi hai.

2. Bache ko breastfeed konsi position me karaye:

Jab bhi aap bache ko स्तनपान karaye to aap comfortable rahe.

Aap bache ko lekar aisi sthiti me bethe jis se aapke hath aur kamar me dard na ho.

Aap bache ko takiye ka shahara lekar breast feed karva sakte ho.

Aap bache ko apni godi me toliya lekar us par bache ko leta kar ke breast feed karva sakti hai.

3. Aapne breast (स्तन) ko support kariye :

Agar bacha aapke स्तन tak nahi pahuch sakta to aap apne hath se support karke bache ke muh me apne nipple ko de sakti hai. Is se aapko aur bache ko dono ko asani rahegi.

4. Bacha स्तन ko sahi se apne muh me pakde :

Aapko har bar dhyan dena hai ki bacha aapke nipple ko sahi se apne muh me pakde.

Bache ko is se dudh pine me aasani rahegi.

5. Bache ke hoth ki position ko dhayan me rakhe :

Aapko ye bhi dhyan rakhna hai ki aapke bache ka muh hai wo aapke स्तन ke pas hona chahiye is se bache ko breastfeed karvane me asani rahegi.

Bache ko dudh kab aur kitna pilana chahiye?

Bacha jab peda hota hai uske sath hi wo bhukha ho jata hai aur bacha jab 1-2 month ka hota to unko har 24 hours me 10-12 bar bhukh lagti hai aur ye 1-2 month bacha jyadatar sota raheta hai. Par aapko har 1 se 2 hours me bache ko uthake ya fir nind me breastfeed jarur karvana hai. Bacha bhale hi kitni bhi gaheri nind me soya kyu na ho aapko usko breastfeed karvana jruri hai kyuki bache ka physical & mental development maa ke dudh se hi hota hai ye bat ko yaad rakhna hai.

Bache ko upar ka dudh kaise pilana chahiye? – बच्चे को ऊपर का दूध कैसे पिलाना चाहिए

Uapr (ऊपर) ka dudh ka matlab hai ki maa ke dudh ke alawa jo dudh hum bache ko dete hai wo dudh.

WHO ke anusar bache ko kam se kam 6 month tak maa ka dudh hi dena chahiye aur agar maa ka dudh kam ho raha hai to hi bache ko formula milk dena chahiye.

Breastfeed ya formula milk ke alawa koi bhi dudh 1 saal tak bache ko nahi dena chahiye kyuki bache ka digestive system bahut hi slow hota hai. Bacha jaise jaise bada hota jata hai waise waise wo improve hota hai is liye bache ko agar cow milk dena hai to wo 1 saal ke bad se de sakte hai.

Agar aapko formula milk dene ki jarurat pad rahi hai to aapko formula milk bana kar aapko bache ko bottle se dudh pilana hai jis se bache ko bottle se dudh pine me asani rahe.

To ye thi puri information ki Baby ko dudh kaise pilaye aur नई माताओं के लिए स्तनपान कराने ki tips. ummid hai ki aapko is article se bahut kuch jankari mili hogi aur agar aap ek new mom hai to aapke liye ye jankari helpful bhi hogi.

Happy Parenting.

 

यह भी पढ़े :

क्या है बच्‍चों को बोतल से दूध पिलाने के नुकसान और फायदे – जानिए 

जानिए प्रेगनेंसी के शुरुआती लक्षण कैसे होते हैं

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.